umeed ko maine choda,
maut ka daman hai thama
hua khudse bhi main baygana,
hoon baygano main phir kyun anjaana
woh raaston ka soonapan
deewaron ka woh weeraana
yeh galiayn yeh chowbara
main na aaonga yahan dobara
mujhe khabar na thi, mujhe patah na tha,
kay tum jhoota pyaar ho
jab mera rab rootha, tab mera sapna toota
aisa laga kisinay mujhse mera jahan loota
apne kamre ki khidki main khada hoon
soch rahan hoon, kyun apne khyalon main khoya rehta hoon
reh rehkar chehre pay muskaan aati hai aur phir gayab ho jati hai
uske badle ek dard bhari shikanjh maathe par chod jaati hai
apne kamre ki khidki kanch se behta hua paani ka aks
mere chehre pay dekrahaon hoon,
phir mehsoos hua ki aasun mera chehra bhigo rahay thay
sawaan toh bahar tha aur barsaat is dil main ho rahi hai
mere chere ki muskaan pay mat ja, mere aankh main bhi paani hai
mujhse kabhi na poochna mere hisse ki kya kahani hai
"Khwaish" Zindagi mein Maut Se Bhi dardnaak Ek Saza Hai
woh hai insaan ki tanhai.....
har ek ki yahan Apni-Apni kahani hai
sach to yehi hai ke Zinda rehna ab Zulm - e - Zindegaani Hai!
No comments:
Post a Comment