Wednesday, January 4, 2012

Maa - Ocean of forgiveness - The Heaven of Mercy - The Universe of Love

tumne hi dee hai mujhe yeh zindagi

tumne hi dee hai mujhe yeh bandagi

tere kadmon main hai jannat

tujhse hi hai meri har ek mannat


tumne hi hasaya mujhe jab main roya

tumne hi samjhaya mujhe jab main khoya

Mujh pay hai tu khuda ki rehmet

tu bhar dey har dil main mohabbat


Rutba itna kay janat tere paron main

tu kya dhoonta hai gharoon main

Maan ki khidmat kar kay janat kama lay

Duniya aur akhirat dono yaheen pa lay


Zaat aesi jis per ambian ko bhi fakhar raha hai

Rishta aisa jis ka khuda bhi gawah hai

Tere azmat main kali kamli bechai jaye

Tere duwayien satwain asman pay jaye


Hogaya main Jawan, Boodhi ho rahi meri Maa

Bay chiragh Aankho mai Khwab bo rahi meri Maa

Roti apne hissay ki dey kay apne bachon ko

Sabr ki rida odhay bhooki so rahi meri Maa


Sans ki mariza hai phir bhi thanday pani se

Kitni sakht sardi may kapday dho rahi meri Maa

Gair ki shikayat par phir kisi shrarat par

Maar kar mujhay khud hi ro rahi meri Maa


Khelne se jo Mujhko rokti thi Mitti may

Odh kar usi Mitti ko aaj so rahi meri Maa

Meri bus yeh ek iltajah hai

jaisi bhi ho,rakhna kush hamesha unko

Main jo kuch bhi hoon aaj, Maa uski wajah hai

kho diya unko toh zindagi tabah hai

No comments:

Post a Comment